Sunday, October 15, 2006

Veer Pratap Singh Speaks...

Main Qaidi Number 'Saat Sau Chhiyasi'
Jail Ki Salakhon Ke Bahar Dekhta Hoon,
Din Mahine Saalon Ko Yug Mein Badalte Dekhta Hoon,

Is Mitti Se Mere Bauji Ke Kheton Ki Khushboo Aati Hai,
Yeh Dhoop Meri Maati Ki Thandi Chaas Yaad Dilati Hai,
Yeh Baarish Mere Saawan Ke Jhoolon Ko Sang Sang Laati Hai,
Yeh Sardi Meri Lohri Ke Aag Sek Kar Jaati Hai,

Woh Kehte Hain Yeh Tera Desh Nahin
Phir Kyon Mere Desh Jaisa Lagta Hai,
Woh Kehta Hai Main Us Jaisa Nahin
Phir Kyon Mujh Jaisa Lagta Hai

Main Qaidi Number ‘Saat Sau Chhiyasi’
Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon
Sapno Ke Gaon Se Utri
Ek Nanhi Pari Ko Dekh Ta Hoon
Kehti Hai Khud Ko Saamiya Aur Mujh Ko Veer Bulati Hai
Hai Bilkul Begani Paar Apno Si Zid Woh Karti Hai
Uski Sachhi Baaton Se Phir Jeene Ko Mann Karta Hai
Uske Kaasmon Vado Se Kuch Karne Ko Mann Karta Hai

Main Qaidi Number ‘Saat Sau Chhiyasi’
Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekh Ta Hoon
Mere Gaon Ke Raango Main Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon
Mere Khwabon Ko Pura Karte
Khud Ke Khwab Bhool Chuki Hai Woh
Mere Logon Ki Sewa Karte
Apne Logon Ko Chhod Chuki Hai Woh
Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Jee Karta Hai
Uske Liye Ek Aur Zindagi Jeene Ko Jee Karta Hai

Woh Kehte Hain Ke Main, Mera Desh Uska Nahi
Phir Kyun Mere Ghar Woh Rehti Hai
Woh Kehte Hai Ke Main Us Jaisa Nahi
Phir Kyun Mujh Jaisi Woh Lagti Hai

Main Qaidi Number ‘Saat Sau Chhiyasi’
Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekh Ta Hoon
Woh Kehte Hai Ki Woh Koi Nahi Teri
Phir Kyun Mere Liye Duniya Se Woh Ladti Hai
Woh Kehte Hain Ke Main Us Jaisa Nahi
Phir Kyun Mujh Jaisi Woh Lagti Hai

------------------------------------------------------

From The Movie 'Veer Zaara'

Saturday November 12, 2005 - 05:17pm (IST)

No comments: